WAQT:
Sach hai
Waqt ek khanzar ki tarah
Hamen zakhm deta
Aur aksar in zakhmo ko kured kar
Hara bhi karta hai
Waqt ke tez jhonke
Bujha dete hain khwabon
ke chirag
Waqt ki chingari, kai baar
Nanhe armon ko khak kar deti hai
Bah jaten waqt ki lahron mein
Ummeed ke chhote chhote jazire
Ye waqt rahzan bhi hai
Loot leta hai hamare armano ke karvan ko
Waqt sitamgar hai, Sitam karta hai
Ye dil ke tootne ka nahin gham karta hai
Lekin…
Yehi waqt marham banker
Waqt bewaqt
Kai purane zakhmo ko bhara karta hai
Waqt ki dhoop mein
Na jane Kitni ashq alooda yadein sookh jati hain
Waqt ki thandi boondon se
Na jane kitne sulagte huye
chak jigar ko chain aur araam milta hai
Isi waqt ki beparwah tapish se
Bahut se munzamid dard pighal bhi jate hain
Goya ki
Waqt kuchh bhi ho sakta hai
Waqt kahin bhi ho sakta hai
Waqt kabhi ho sakta hai
Par waqt be-waqt nahin hota
Kabhi suna hai tumne Sham ko subah hote huye
Kabhi dekha hai tumne Do baje char bajte huye
1 comment:
Very nice nazm!
Post a Comment