Sunday, November 06, 2016

GHAZAL

                एक ग़ज़ल 

-------------------------------------------




मैं तेरी हर इनायतों का  हिसाब रखता हूँ
दिल में खलिश, आँखों में आब रखता हूँ


नहीं कहता कुछ  भी हाकिम -ए-मक़तल से मैं
मगर उसके हर सवालों का जवाब रखता हूँ 


वैसे तो पीता  हूँ खून-ए-जिगर शब-ओ-रोज़ मैं
पर अपने मेज़ की दराज़ों  मे मैं शराब रखता हूँ


एक पुरानी सी जंग आलूदा संदूक है मेरे पास
इसी में सारे टूटे हुए अपने ख़्वाब  रखता हूँ


कैसे भरने दूँ  इसे, ये जख्म तो उसका दिया है
हर रोज़ सुबह अपने नासूरों पे तेज़ाब रखता हूँ

Main teri har inayaton ka  hisaab rakhta hoon
Dil mein khalish, ankhon mein aab rakhta hoon

Nahin kahta kuchh bhi hakim-e-maqtal se main
Magar uske har sawalon ka jawab rakhta hoon

Waise to peeta hoon khoon-e-jigar shab-o-roz main
Par apne mez ki darzon me main sharab rakhta hoon

Ek purani si jung alooda sandook hai mere pas
Isi mein sare toote huye apne khawab rakhta hoon

Kaise bharne doon ise, ye jakhm to uska diya hai
Har roz subah apne nasuron pe tezaab rakhta hoon