Thursday, December 25, 2014

EK GHAZAL

 Raat  hoti hai par dareeche pe chirag nahin hota

Zulmato ke shahar mein koi mahtaab nahin hota


 Bas khar hi khar ugte her shakh pe yahan

Is shahar mein kisi dal pe kabhi gulab nahin hota


 Hazaron farishton ka khoon baha hai yahan

Ya illahi kyon is shahar pe nazil azaab nahin hota


  Wo hakim-e-shahar hai aur munshif bhi hai

Isliye uski gunahon ka koi hisab nahin hota


 Sabhi ko shauq hai insanon  ke lahoo ka  yahan

Is shahar mein kisi paimane mein  sharab nahin hota