Tuesday, December 15, 2015

Yeh maikad-e-ishq hai yahan jaam-e-junoon milta hain

A NEW GHAZAL(With English Translation)
=============================================
Yeh maikad-e-ishq hai yahan  jaam-e-junoon milta hain
Giriya-e-deed-e-Qaisha wa  Qalb-e-laila ka khoon milta hai

Na batein hoti hai na deedar-e-rukhe-e yaar hota hai
Phir bhi is Mulqat-e-mukhtasar se kitna sukoon milta hai

Tisnagi, taghaful wa ek taweel si shab-e-tanhai, bas
Meri wafa meri mohabbat ka mujhe sila yoon milta hai








Wednesday, December 09, 2015

EK GHAZAL

ایک غزل  
-------------------------------------------------------------------
Zara is diwane ka arz-e-haal tum sunte kyon nahin
Ishq mein hota hai kya kamal tum sunte kyon nahin 


Dekh liya in ankho ko kya kya  gila hai tum se

Is dil ko bhi hai kuchh malal tum sunte kyon nahin


Dastan-e-urooz to suna hai tum ne barha magar

Kaise hua is qaum ka jawal tum sunte kyon nahin


Wo waqt tha wasl-e-yaar ka  us ka byan chhhodo

Hizr mein guzra hai kaise saal tum sunte kyon nahin


Taqreer bahut achhi hai tumhari ye sab mante hain

Yahan  mera bhi hai kuchh khyal tum sunte kyon nahin


Tere naam pe ho raha hai zulm-o-jabr, aye Khuda

 Insaniyat ho rahi hai pamaal, tum sunte kyon nahin

تیرے نام پے  ہو رہا ہے ظلم جبر  اے خدا 
انسانیت ہورہی  ہے  پامال تم سنتے کیوں نہیں  

Sunday, December 06, 2015

EK TAZA GHAZAL



Chup kyon ho tum jawaab to do

Mere jakhmo ka zara hisaab to do



Ukta gaya hoon jaam-e-giriya pee pee kar  [
jaam-e-giriya=wine of tears]

Zahar na sahi, thoda sharab to do


Tabeer ki batein phir karenge hum   { Tabeer=interpretation, explanation, elucidation of a dream]

Pahle in ankhon ko kuchh khawab to do



Kuchh to de jao apni nishani hum-dum

Dil ko khalish, nigahon ko aab to do



Jo kitab ke safon ke beech hai chhupa

Mujhe wapas  wo sukha hua gulab to do



Tweel hai safar zulmaton ka, aye Khuda    {Tweel=Long} {Zulmaton=Darkness]

Meri andheri raton ko ek mahtaab to do  [Mahtab=Moon]







Friday, December 04, 2015

EK NAYEE GHAZAL

EK GHAZAL
---------------------

Unke lab pe  aaj phir mera naam aya hai
Wo bhi sar-e- rah aur sar- e- aam aya hai

Tisnagi ne khatm kar di kahani jist ki tab
Hanthon mein  chhalakta hua jaam aya hai

Daman chhod diya rafeeqon ne ek ba ek
Jise raqeeb samjha tha uska salam ayaa hai

Zindagi sirf dard ka jakheera hai aur kya
Azal charagar ban ke mere kaam aya hai

Har lamha talshta raha sachche khuda ko jo
Akhri sans mien usika ek  buut pe imaan aaya hai


Tanhayian humsafer rahi umr bhar jiski
Uske janaze pe dekho zamana tamam aaya hai

Unke sitam ka zikr kiya to achcha nahin hoga
Mere sitamgar ka kuchh aisa  paigham aya hai

Lifafa khol ke dekh loon akhir kya hai 'Abd'
Hakkem-e-maqtal ka mere liye koi farman aya hai