Friday, December 04, 2015

EK NAYEE GHAZAL

EK GHAZAL
---------------------

Unke lab pe  aaj phir mera naam aya hai
Wo bhi sar-e- rah aur sar- e- aam aya hai

Tisnagi ne khatm kar di kahani jist ki tab
Hanthon mein  chhalakta hua jaam aya hai

Daman chhod diya rafeeqon ne ek ba ek
Jise raqeeb samjha tha uska salam ayaa hai

Zindagi sirf dard ka jakheera hai aur kya
Azal charagar ban ke mere kaam aya hai

Har lamha talshta raha sachche khuda ko jo
Akhri sans mien usika ek  buut pe imaan aaya hai


Tanhayian humsafer rahi umr bhar jiski
Uske janaze pe dekho zamana tamam aaya hai

Unke sitam ka zikr kiya to achcha nahin hoga
Mere sitamgar ka kuchh aisa  paigham aya hai

Lifafa khol ke dekh loon akhir kya hai 'Abd'
Hakkem-e-maqtal ka mere liye koi farman aya hai

No comments: