Sunday, December 24, 2017

A New Ghazal

शहर में हर तरफ दिखते हैं हैवान देखिए
है वहशत में मुब्तला हर एक  इंसान देखिए

सर झुका के चलते हैं मोहब्बत है जिनका पेशा
नफ़रतों के ताज़ीरों की  लेकिन ज़रा शान देखिए

ज़िक्र--इलाही  लब पे,  दिल है सनमकदा
कितने फख्र से लोग बेचते हैं  ईमान देखिए

गुनाह तो कुछ भी था मक़तूल का,लेकिन
उनको क़त्ल--आदम का था  बहुत अरमान देखिए

चलता रहा यूहीं  गर आदावतों का सिलसिला
फिर तो बर्बदियों का है पूरा इमकान देखिए

सरकश  हूँ मैं 'अब्दतो सदाकत के साथ हूँ
सर पे कफ़न मेरे और  हथेली पे जान देखिए










Shahar mein har taraf dikhte hain,haiwaan dekhiye
Hai wahshat mein mubtala har ek insaan dekhiye

Sar jhuka ke chalte hain mohabbat hai jinka pesha
Nafraton ke taziron ki  lekin zara  shaan dekhiye

Zikr-e-illahi lab pe,  dil hai sanamkada
Kitne fakhr se log bechte hain imaan dekhiye

Gunah to kuchh bhi na tha maqtool ka,lekin
Unko  qatl-e-adam ka tha bahut armaan dekhiye

Chalta raha  yuhin agar adavaton ka silsila
Phir to barbadiyon ka hai pura imkaan dekhiye

Saraksh hoon main 'abd' to sadakat ke saath hoon
Sar pe kafan mere aur hai hatheli pe jaan dekhiye







x

No comments: