Saturday, February 28, 2015

EK GHAZAL


Wo charagar nahin hai,ke wo tujhe dawa dega
Ilaj  uska, tere zakhm  ko  aur  badha  dega


Bhale sara zamana ho dushman tera kyon na
Lekin tera koi dost hi tujh ko daga dega


Kai sadiyon mein wo zarre se aftab hua hai
Khuda ne chaha to ek lamha use zarra bana dega

Mere zehan mein rahega wo ta-umr ab to
Aur wo mujhe pal do pal mein hi bhula dega


Zindagi se na koi ummeed to na hi sahi
Azal ek din tera har dard mita dega



No comments: