EK TAZA GHAZAL
Chup kyon ho tum jawaab to do
Mere jakhmo ka zara hisaab to do
Ukta gaya hoon jaam-e-giriya pee pee kar [jaam-e-giriya=wine of tears]
Zahar na sahi, thoda sharab to do
Tabeer ki batein phir karenge hum { Tabeer=interpretation, explanation, elucidation of a dream]
Pahle in ankhon ko kuchh khawab to do
Kuchh to de jao apni nishani hum-dum
Dil ko khalish, nigahon ko aab to do
Jo kitab ke safon ke beech hai chhupa
Mujhe wapas wo sukha hua gulab to do
Tweel hai safar zulmaton ka, aye Khuda {Tweel=Long} {Zulmaton=Darkness]
Meri andheri raton ko ek mahtaab to do [Mahtab=Moon]
1 comment:
Behudd khoobsoorat ghazal.Lajawab sheir.mashaAllah
Post a Comment