EK GHAZAL
---------------------
Unke lab pe aaj phir mera naam aya hai
Wo bhi sar-e- rah aur sar- e- aam aya hai
Tisnagi ne khatm kar di kahani jist ki tab
Hanthon mein chhalakta hua jaam aya hai
Daman chhod diya rafeeqon ne ek ba ek
Jise raqeeb samjha tha uska salam ayaa hai
Zindagi sirf dard ka jakheera hai aur kya
Azal charagar ban ke mere kaam aya hai
Har lamha talshta raha sachche khuda ko jo
Akhri sans mien usika ek buut pe imaan aaya hai
Tanhayian humsafer rahi umr bhar jiski
Uske janaze pe dekho zamana tamam aaya hai
Unke sitam ka zikr kiya to achcha nahin hoga
Mere sitamgar ka kuchh aisa paigham aya hai
Lifafa khol ke dekh loon akhir kya hai 'Abd'
Hakkem-e-maqtal ka mere liye koi farman aya hai

No comments:
Post a Comment