ایک غزل
-------------------------------------------------------------------
Zara is diwane ka arz-e-haal tum sunte kyon nahin
Ishq mein hota hai kya kamal tum sunte kyon nahin
Dekh liya in ankho ko kya kya gila hai tum se
Is dil ko bhi hai kuchh malal tum sunte kyon nahin
Dastan-e-urooz to suna hai tum ne barha magar
Kaise hua is qaum ka jawal tum sunte kyon nahin
Wo waqt tha wasl-e-yaar ka us ka byan chhhodo
Hizr mein guzra hai kaise saal tum sunte kyon nahin
Taqreer bahut achhi hai tumhari ye sab mante hain
Yahan mera bhi hai kuchh khyal tum sunte kyon nahin
Tere naam pe ho raha hai zulm-o-jabr, aye Khuda
Insaniyat ho rahi hai pamaal, tum sunte kyon nahin
No comments:
Post a Comment