Marasim to the, per dil usne abhi lagaya na tha
Nigahen meharbaan thi, per lab pe kuchh aaya na tha
Waise to hauee batein jahan bhar ki shab bhar
Lekin dil mein hai kya usne bataya na tha
Ke lauta hoon barhan uske dahleez se main
Jata bhi to kaise, usne to kabhi bulaya na tha
Zamana kahe to kahta rahe usko wafa ki murat
Lekin usne to koi dastoor-e-wafa nibhaya na tha
Kuchh adhure se armaan aur ek toota hua dil
Inke siwa mere pass koi aur sarmaya na tha

No comments:
Post a Comment