शहर
में हर तरफ दिखते
हैं हैवान देखिए
है
वहशत में मुब्तला हर एक इंसान देखिए
सर
झुका के चलते हैं
मोहब्बत है जिनका पेशा
नफ़रतों
के ताज़ीरों की लेकिन ज़रा
शान देखिए
ज़िक्र-ए-इलाही लब पे, दिल है सनमकदा
कितने
फख्र से लोग बेचते
हैं ईमान
देखिए
गुनाह
तो कुछ भी न था
मक़तूल का,लेकिन
उनको
क़त्ल-ए-आदम का था
बहुत अरमान देखिए
चलता
रहा यूहीं गर आदावतों
का सिलसिला
फिर
तो बर्बदियों का है पूरा
इमकान देखिए
सरकश हूँ
मैं 'अब्द' तो सदाकत के साथ हूँ
सर
पे कफ़न मेरे और हथेली
पे जान देखिए
Shahar mein har taraf dikhte hain,haiwaan dekhiye
Hai wahshat mein mubtala har ek insaan dekhiye
Sar jhuka ke chalte hain mohabbat hai jinka pesha
Nafraton ke taziron ki lekin zara shaan dekhiye
Zikr-e-illahi lab pe, dil hai sanamkada
Kitne fakhr se log bechte hain imaan dekhiye
Gunah to kuchh bhi na tha maqtool ka,lekin
Unko qatl-e-adam ka tha bahut armaan dekhiye
Chalta raha yuhin agar adavaton ka silsila
Phir to barbadiyon ka hai pura imkaan dekhiye
Saraksh hoon main 'abd' to sadakat ke saath hoon
Sar pe kafan mere aur hai hatheli pe jaan dekhiye
x
No comments:
Post a Comment