Sunday, October 30, 2016

GHAZAL

Zarra ban ke kainaat mein bikhar jane ko ji chahta hai
Na jaane kyon khud ki hasti ko mitane ko ji chahta hai


Patthar patthar jod ke ye ghar banaya tha kabhi maine
Per aaj  is ashiyaan ko aag lagane ko ji chahta hai


Baithoon kisi byanaban mein aur rota rahoon musalsal
Na ab kabhi bhi mera muskurane ko ji chahta hai

Meri ek awaz pe daura daura ayega zamana yahan
Lekin kisi bhi ko na bulane ko ji chahta hai

Tere hamnawai mein sukoon to hai bahut magar
Tum se hamesha ke liye bichad jane ko ji chahta hai

Ek nashtar se karoon apne jigar ke tukde hazar
Apne dil ke tukdon ko darya mein bahane ko ji chahta


Nahin rahna hai mujhe in iman walon ke sath ab to
Mera kisi sanam ke aage sir jhukaane ko ji chahta hai

Mere samne hai man-o-salwa bhi aur jaame-e-kauser bhi
Phir bhi bhooke pyase tadp ke mar jaane ko ji chahta hai


Hadon ki deewar ne ab tak mujhe rok rakha tha abd
Magar ab to had se aage gujar jane ko ji chahta hai


ज़र्रा  बन के कायनात  में बिखर जाने को जी चाहता है
ना जाने क्यों खुद की हस्ती को मिटाने को जी चाहता है


पत्थर  पत्थर जोड़ के ये घर बनाया था  कभी मैने
पर  आज  इस आशियाँ को आग लगाने को जी चाहता है


बैठूँ  किसी ब्याबां  में और रोता रहूं मुसलसल
ना अब कभी भी  मेरा मुस्कुराने को जी चाहता है

मेरी एक आवाज़ पे दौड़ा दौड़ाआएगा ज़माना यहाँ
लेकिन किसी भी को ना बुलाने को जी चाहता है

तेरे हमनवाई में सुकून तो है बहुत मगर
तुम से हमेशा के लिए बिछड़ जाने को जी चाहता है

एक नश्तर से करूँ अपने जिगर के टुकड़े हज़ार
अपने दिल के टुकड़ों को दरिया  में बहाने को जी चाहता


नहीं रहना है मुझे इन ईमां  वालों के साथ अब तो
मेरा किसी सनम के आगे  सर  झुकाने को जी चाहता है

मेरे सामने है मन -ओ-सलवा भी और जामे-ए-कौसर भी
फिर भी भूखे प्यासे तड़प  के मर जाने को जी चाहता है


हदों की दीवार ने अब तक मुझे रोक रखा था अब्द
मगर अब तो हद से आगे  गुजर जाने को जी चाहता है

















1 comment:

Unknown said...

नहीं रहना है मुझे इन ईमां वालों के साथ अब तो
मेरा किसी सनम के आगे सर झुकाने को जी चाहता है
Waah!
Kamaal kar diya aap ne...
Amazing creation that touches the heart and enlightens the mind.
Mukarrar Irshad kehne ko jee chahta hai!
Shukriya