Saturday, December 10, 2016
EK GHAZAL
हसरतों का अपने तू हिसाब रखा कर
Sunday, November 06, 2016
GHAZAL
एक ग़ज़ल
-------------------------------------------
मैं तेरी हर इनायतों का हिसाब रखता हूँ
दिल में खलिश, आँखों में आब रखता हूँ
नहीं कहता कुछ भी हाकिम -ए-मक़तल से मैं
मगर उसके हर सवालों का जवाब रखता हूँ
वैसे तो पीता हूँ खून-ए-जिगर शब-ओ-रोज़ मैं
पर अपने मेज़ की दराज़ों मे मैं शराब रखता हूँ
एक पुरानी सी जंग आलूदा संदूक है मेरे पास
इसी में सारे टूटे हुए अपने ख़्वाब रखता हूँ
कैसे भरने दूँ इसे, ये जख्म तो उसका दिया है
हर रोज़ सुबह अपने नासूरों पे तेज़ाब रखता हूँ
Main teri har inayaton ka hisaab rakhta hoon
Dil mein khalish, ankhon mein aab rakhta hoon
Nahin kahta kuchh bhi hakim-e-maqtal se main
Magar uske har sawalon ka jawab rakhta hoon
Waise to peeta hoon khoon-e-jigar shab-o-roz main
Par apne mez ki darzon me main sharab rakhta hoon
Ek purani si jung alooda sandook hai mere pas
Isi mein sare toote huye apne khawab rakhta hoon
Kaise bharne doon ise, ye jakhm to uska diya hai
Har roz subah apne nasuron pe tezaab rakhta hoon
Sunday, October 30, 2016
GHAZAL
Zarra ban ke kainaat mein bikhar jane ko ji chahta hai
Na jaane kyon khud ki hasti ko mitane ko ji chahta hai
Patthar patthar jod ke ye ghar banaya tha kabhi maine
Per aaj is ashiyaan ko aag lagane ko ji chahta hai
Baithoon kisi byanaban mein aur rota rahoon musalsal
Na ab kabhi bhi mera muskurane ko ji chahta hai
Meri ek awaz pe daura daura ayega zamana yahan
Lekin kisi bhi ko na bulane ko ji chahta hai
Tere hamnawai mein sukoon to hai bahut magar
Tum se hamesha ke liye bichad jane ko ji chahta hai
Ek nashtar se karoon apne jigar ke tukde hazar
Apne dil ke tukdon ko darya mein bahane ko ji chahta
Nahin rahna hai mujhe in iman walon ke sath ab to
Mera kisi sanam ke aage sir jhukaane ko ji chahta hai
Mere samne hai man-o-salwa bhi aur jaame-e-kauser bhi
Phir bhi bhooke pyase tadp ke mar jaane ko ji chahta hai
Hadon ki deewar ne ab tak mujhe rok rakha tha abd
Magar ab to had se aage gujar jane ko ji chahta hai
ज़र्रा बन के कायनात में बिखर जाने को जी चाहता है
ना जाने क्यों खुद की हस्ती को मिटाने को जी चाहता है
पत्थर पत्थर जोड़ के ये घर बनाया था कभी मैने
पर आज इस आशियाँ को आग लगाने को जी चाहता है
बैठूँ किसी ब्याबां में और रोता रहूं मुसलसल
ना अब कभी भी मेरा मुस्कुराने को जी चाहता है
मेरी एक आवाज़ पे दौड़ा दौड़ाआएगा ज़माना यहाँ
लेकिन किसी भी को ना बुलाने को जी चाहता है
तेरे हमनवाई में सुकून तो है बहुत मगर
तुम से हमेशा के लिए बिछड़ जाने को जी चाहता है
एक नश्तर से करूँ अपने जिगर के टुकड़े हज़ार
अपने दिल के टुकड़ों को दरिया में बहाने को जी चाहता
नहीं रहना है मुझे इन ईमां वालों के साथ अब तो
मेरा किसी सनम के आगे सर झुकाने को जी चाहता है
मेरे सामने है मन -ओ-सलवा भी और जामे-ए-कौसर भी
फिर भी भूखे प्यासे तड़प के मर जाने को जी चाहता है
हदों की दीवार ने अब तक मुझे रोक रखा था अब्द
मगर अब तो हद से आगे गुजर जाने को जी चाहता है

Saturday, September 24, 2016
A NEW GHAZAL
Tere bose se shabnam shireen ho jaye
Hawa chuye tujhe to khushboo ho jaye
Teri hamnawai ki hasrat hai mujh ko
Dua karo ki puri ye arzoo ho jaye
Kal shab maine dekha ek khwab sa kuch
Kash uski tabeer bhi hoo bahoo ho jaye
Mit jaye zist ka har dard-o-alam yun hi
Jis pal, mehrbaan mujh pe tu ho jaye
Tera husn hai maninde aatishfishan lekin
Fana yaqeeni hai gar tu ru-ba-ru ho jaye
Sanam bezaar hai na jane kab se Abd
Khuda chahe to ishq mera surkhuru ho jaye

Monday, January 25, 2016
My Novel 'PATNA BLUES' accepted for publication
I am happy to share that my first novel Patna Blues has been accepted for publication by Juggernaut Books, a publishing company founded by India's best known publisher Chiki Sarkar.
Subscribe to:
Posts (Atom)