Friday, March 06, 2015

EK PURANI GHAZAL

Phoolon ki baharon ki aur sazar ki baat karte ho
Is sehra mein kis haseen manzar ki baat karte ho

Abhi to guzarana tumhe tarikiyon ke samander se
Abhi raat kahan guzari kyon sahar ki baat karte ho

Wo qatil hain, charagari nahin hai kaam  unka
Unse kyon ek inayat bhari nazar ki baat karte ho


Admi admi, har taraf hai bas admi hi admi
Insaan kahan hain kis shahar ki baat karte ho

Jab khuda ne khud hi mujhse nazar pher li 'abd'
To phir kin duwaon ke asar ki baat karte ho

No comments: