Aaiye zara raqs-e-zulmaat dekhiye
Siyahi mein lipta hua aftab dekhiye
Roz-e-mahsar jab ayega, tab dekhenge
Aaj to bas qayamat ki raat dekhiye
Na sochiye ki lafzon ka matlab kya hai
Sirf alfaz mein chhupe jazbaat dekhiye
Apki batein hum ne suni hai bahut
Ab mere bhi to kuchh sawaalaat dekhiye
Aap to afsurda hain mausam ki be-rukhi se
Apne aas pass ke bhi zara haalaat dekhiye
Siyahi mein lipta hua aftab dekhiye
Roz-e-mahsar jab ayega, tab dekhenge
Aaj to bas qayamat ki raat dekhiye
Na sochiye ki lafzon ka matlab kya hai
Sirf alfaz mein chhupe jazbaat dekhiye
Apki batein hum ne suni hai bahut
Ab mere bhi to kuchh sawaalaat dekhiye
Aap to afsurda hain mausam ki be-rukhi se
Apne aas pass ke bhi zara haalaat dekhiye
No comments:
Post a Comment