Khuli ankhon ka ek khwab mila mujh ko
Kitab-e-jist ka ek naya baab mila mujh ko
Ham ne si liye the har jakhm sabr ke dhagon se
Lekin phir ek dard-e-nayaab mila mujh ko
Bas ek tisnagi tari rahi musalsal yun hi
Zindagi sehra rahi aur saraab mila mujh ko
(Saraab= mirage)
Uska lahza shokh tha aur hothon pe tha tabassum
Phir kyon uski ankhon mein aab mila mujh ko
Teri qismat mein gham-e-hizran hai to main kya kroon
Aaj zindagi se kuchh aisa hi jawab mila mujh ko
No comments:
Post a Comment